Monday, June 16, 2008

Bavra Mann Dekhne Chala

Bavra Mann Dekhne Chala Ek Sapna
Bavra Mann Dekhne Chala Ek Sapna

Bavre Se Mann, Ki Dekho Bavri Hain Baatein
Bavre Se Mann, Ki Dekho Bavri Hain Baatein
Bavri Se Dhadkaane Hain, Bavri Hain Saansen
Bavri Si Karwaton Se, Nindiya Door Bhaage
Bavre Se Nain Chaahe, Bavre Jharokhon Se, Bavre Nazaron Ko Takna.
Bavra Mann Dekhne Chala Ek Sapna

Bavre Se Is Jahan Main Bavra Ek Saath Ho
Is Sayani Bheed Main Bas Haathon Mein Tera Haath Ho
Bavri Si Dhun Ho Koi, Bavra Ek Raag Ho
Bavri Si Dhun Ho Koi, Bavra Ek Raag Ho
Bavre Se Pair Chahen, Baavron Tarano Ke, Bavre Se Bol Pe Thirakna.
Bavra Mann, Dekhne Chala Ek Sapna

Bavra Sa Ho Andhera, Bavri Khamoshiyan
Bavra Sa Ho Andhera, Bavri Khamoshiyan
Thartharati Low Ho Maddham, Bavri Madhoshiyan
Bavra Ek Ghooghta Chahe, Haule Haule Bin Bataye, Bavre Se Mukhde Se Sarakana,
Bavra Mann, Dekhne Chala Ek Sapna

No comments: